
Originally Posted by
hamdusa
As Salam O Alaikum!!!
Hello Abul Asad Bhai!!!
You said k vo log Peeon ko ALlah tak pohanchnay ka vasela bnatay hain. But i think this attitute is wrong too.
Allah Taala nay farmaya k main tumhari ShahRag say b Zyada kreeb hon.
Allah Taala nay farmaya k jab maira koi banda mairi taraf aik kadam bharta hay to main us ki taraf 10 qadam barhta hon agar vo chal k aata hay to main dorr k aata hon.
Allah Taala nay farmaya k "Iyaka Naabodo va Iyaka Nastaeen", "Ham Tairi hi ibadat kertay hain or tujh hi say madad mangtay hain"
Mujhay yah Samajh nahe lagti k musalman tamam logoon ko aik aam insan treat q nahe kertay. Hamnay yah Q samajh liya hay k Allah ki bargah main hamari directly nahe suni jaeay gi???
Us Allah ko yah manzoor nahe k us k banday us k ilava kisi oor ki taraf jhukain. Kisi or sa rajoo karain, so, hamain b apna Attitude change kerna ho ga.
Please aap mairi bat ko ghoor say parhain or btaein k mairi bat main kiya ghalti hay jo isay tasleem nahe kiya ja raha. Yakeen karain k agar yahi baat koi Imam Masjid Speaker per kharra ho ker kah day to her koi tasleem ker lay.
Hamain apni akbat k baray main khud sochna ho ga, koi molvi, peer, koi b hmari Akhrat sunvar nahe sakta. Han aik hasti hay jo k hamari Shah Rag say b kareeb hay or usnay kabhi b yah nahe kaha k main khas khas bandoon ki hi sunta hon.
Main aap kay jawab ka shidat say intazar ker raha hon. OOr please agar koi samajhta hay k mairi bat sahe hay to please yahan post zarur kerain.
Thanks
Hamid Sarfraz
Bookmarks