Assalamualaikum,

I read some of his poetry in his book, BaadoBaaran. It's pretty easy to under, thought I would share it.

Ik nazar aysee karam ki Aap [saw] mujh par daal dain
Bas Madinah ho meri aakhon main, beenaayee nahin.

Zindagi us ki rahay gi ayk bay manzil safar
Jis kay dil tak Aap [saw] ki khushboo kabhi aayee nahin

---

Dhoop say thandak mili, gard-e-safar achi lagi
Har Madinay janay wali, rah guzar (pathway) achi lagi.

Ahl-e-Dil ki aah-o-zaari, raat bhar achi lagi
Noor main doobi Madinay ki sahar (morning) achi lagi.

Is zameen par jo cheez aayee nazar, achi lagi
Khaak-e-Tayyiba (Dust of Madina) bhi mujhay, masl-e-guhar (like rubies) achi lagi.

Yay Madinay kay musaafir ki hay shaan-e-Imtiyaz
Jo bhi mushkil aayee doraan-e-safar, achi lagi.

Roza-e-Athar ki jaali saamnay aankhon kay hay
Aaj zindagi main pahli martaba, apni nazar, achi lagi.

---

Aankh main Roza-e-Athar ko sajaayay rakhna
Dil ko khushboo-e-Muhammad main basaayay rakhna

Koi aaya hay naa aayay ga Nabi, aap [saw] kay baad
Is aqeeday ko kalayjay say lagayay rakhna

Naykiyan karna magar un pay naa karna takya
Aas (hope) Allah ki rahmat say lagaye rakhna

---

[a wannabe-Westerner's thought]

Ahl-e-Maghrib ho, taraqqi ho, qiyadat tum ho
Apni tahzeeb kay da'way ki sadaqat tum ho
Ibn-e-Maryam ki sharafat ki shahadat tum ho
Yoon tau dunya kay liyay dars-e-Hidayat tum ho

[Shamsad Faakir's response]

Haan! Yay wahshat kay jo aasaar nazar aatay hain
Bhayriyay (wolves) tum say bharktay nahin, balkay sharmatay hain

[his definition of a poet]

Ungliyoon kay ishaaray pay chalta hoon
Saada kaaghaz pay moti ugalta hoon