Page 121 of 121 FirstFirst ... 2171111119120121
Results 1,201 to 1,207 of 1207

Thread: Urdu meaning

  1. #1201
    Senior Member Maripat's Avatar
    Join Date
    Jan 2011
    Gender
    Brother
    Madhhab
    Hanafi
    Location
    Source of Breeze
    Posts
    7,138

    Default Re: Urdu meaning

    Quote Originally Posted by Maria al-Qibtiyya View Post
    Urdu:
    Do alam say krti hay baygana Dil ko
    Ajab cheez hay Laz'zat-e-Ashna'e
    Ya ilahi, Ya ilahi
    Shahadat ho Matloob o Maqsood-e-Momin
    Na Maal-e-Ghaneemat Na kishwar kusha'e
    Ya ilahi, Ya ilahi

    Can anyone translate it in English, please???
    Do alam say krti hay baygana Dil ko
    Ajab cheez hay Laz'zat-e-Ashna'e

    It makes heart nonchalant from two worlds
    Strange thing is this delicious love

    Shahadat ho Matloob o Maqsood-e-Momin
    Na Maal-e-Ghaneemat Na kishwar kusha'e

    ho --> hai

    Martyrdom is the object and desire of a believer
    Neither the war booty nor decimation of kings


  2. #1202
    Senior Member Maria al-Qibtiyya's Avatar
    Join Date
    Dec 2012
    Gender
    Sister
    Madhhab
    Don't know
    Location
    Earth
    Posts
    723

    Default Re: Urdu meaning

    Quote Originally Posted by Maripat View Post
    Do alam say krti hay baygana Dil ko
    Ajab cheez hay Laz'zat-e-Ashna'e

    It makes heart nonchalant from two worlds
    Strange thing is this delicious love

    Shahadat ho Matloob o Maqsood-e-Momin
    Na Maal-e-Ghaneemat Na kishwar kusha'e

    ho --> hai

    Martyrdom is the object and desire of a believer
    Neither the war booty nor decimation of kings


    you translated "Laz'zat-e-Ashna'e" into "delicious love". I don't think it is so.
    What do you take the meaning of "Ashna'e"?
    Hijab is my pride & identity as a Muslimah.


  3. #1203
    Senior Member Maripat's Avatar
    Join Date
    Jan 2011
    Gender
    Brother
    Madhhab
    Hanafi
    Location
    Source of Breeze
    Posts
    7,138

    Default Re: Urdu meaning

    Quote Originally Posted by Maria al-Qibtiyya View Post


    you translated "Laz'zat-e-Ashna'e" into "delicious love". I don't think it is so.
    What do you take the meaning of "Ashna'e"?
    I did take liberty ( and I pondered over it before posting).
    Lazzat-e-Ashnai will be taste of being in love.
    Ashna is some one whom you know.
    Ashnai is to know. Crude phrase for the same will be love affair.
    I hope this clarifies the matters.


  4. #1204
    Senior Member Maria al-Qibtiyya's Avatar
    Join Date
    Dec 2012
    Gender
    Sister
    Madhhab
    Don't know
    Location
    Earth
    Posts
    723

    Default Re: Urdu meaning



    Question:

    Are theses lines of Urdu poem contain shirkia kalimaat/words or not? I doubt there is,

    یہ غازی یہ تیرے پر اسرار بندے
    Yai ghazi yai tairy pur israr bandy
    جنہیں تو نے بخشا ہے ذوق خدائی
    Jinhain tu nay bakhsha hay zoq-e-khudai
    دو نیم ان کی ٹھوکر سے صحرا و دریا
    Do neem in ki thokar say sehra o darya
    سمٹ کر پہاڑ ان کی ہیبت سے رائی
    simat kar pahar in ki hibat say rae

    ذوق خدائی = zoq-e-khudae; meaning, Taste of Divine
    so doesn't it seem shirkia word.

    "Zoq" also mean "shoq" which means "To fond of'' , but does this fit in the context of above poem?
    Last edited by Maria al-Qibtiyya; 25-04-2013 at 09:05 AM.


  5. #1205
    Senior Member ahamed_sharif's Avatar
    Join Date
    Jul 2004
    Gender
    Brother
    Madhhab
    Hanafi
    Location
    Baital Ankaboot : House of spider
    Posts
    2,515

    Default Re: Urdu meaning

    It discusses about the people in the path of Allah SWT. Zauq-khudayee is "they have tasted the love of Allah SWT"

    اکلتہ الحشیش انتم لھِٰھنا
    وامتہ محمد صل.... فی الفتن

    You live a isolated life.
    And the Ummah of Rasulullah SAS is living in fitan.

    quoted by Moulana Manzoor Nomani RA.


  6. #1206
    Senior Member Maria al-Qibtiyya's Avatar
    Join Date
    Dec 2012
    Gender
    Sister
    Madhhab
    Don't know
    Location
    Earth
    Posts
    723

    Default Re: Urdu meaning

    Quote Originally Posted by ahamed_sharif View Post
    It discusses about the people in the path of Allah SWT. Zauq-khudayee is "they have tasted the love of Allah SWT"
    Okay,


  7. #1207
    Member
    Join Date
    Mar 2012
    Gender
    Brother
    Madhhab
    Shafi'i
    Posts
    40

    Default Re: Urdu meaning

    ASlm.
    I need 6 number script for teaching my wife. She just start learn deen and dawah.
    Please help this 6 number translation (i'm not understand urdu), since Allah promise will separate one 3 trench from hell for one who fulfil another brother desire.
    PDF version
    Text version :

    6 NUMBER
    Deen par chalna aajaye isliye buzurgan e deen nay quran wa hadees ki raushni mein 6 baatein bataye hai jin par mehnat karkay zindagi mein laanay say inshallah deen par chalna asaan ho jaata hai.
    __________________________________________________ ______________________________
    1. IMAAN
    MAQSAD: Hum ko apne imaan par itni mehnat karna hai kay hamaray dilon mein sirf Allah say
    honay ka yaqeen aajaye aur yeh yaqeen aajaye kay Mohammed SAWS kay tareeqon
    mein saw fisad kamiyaabi hai aur ghairon kay tareeqon mein saw fisad nakami hai.
    FAZAIL: # sirf yaqeen ki tabdeeli par Allah jallashanahu har aadmi ko is duniya say kaee guna
    badi jannat dengay, jab cheezo say honay ka yaqeen dil say nikal jaayeega aur Allah
    say honay ka yaqeen aajaeega to Allah ta’ala saari cheezo ko aapnay taabay banaeegay
    # jab Hazrat Mohammed SAW kay tareeqay zindagi mein aaeengay to Allah jallashanahu ki zaat
    e aali say taaluq paida hoga Allah jallayshanahu ki khudrat say barah e rast faiday uthanay
    walay banengay aur Allah jallashanahu har nakhshay mein kaamiyaab karkay dekhla dayga.
    MEHNAT:
    i) Is yaqeen ko apnay andar lanay kay liye ek to doosro ko Allah say hone ki dawat dena hai aur Allah ki badaaye samjhana, Allah ki raboobiyat samjhana (yaani Allah hi paalnay walay hai), Allah ki qudrat (taaqat) samjhana, kay kaise har cheez Allah kay hukum ki mohtaaj hai, aur phir Ambiya (A.S) aur Sahaba (R.A) kay wakeayaat sunanay hai.
    ii) doosra jis yaqeen ki majmue mein dawat di hai us yaqeen ko tanhaaeoon me baith kar khoob soonchna aur dil mein utaarna.
    iii) teesra ro ro kar Allah say dua mangna hai kay aye Allah hamay is yaqeen ki haqeeqat say
    nawaazday
    __________________________________________________ ______________________________
    2. NAMAZ:
    MAQSAD: hum ko apni namaz par itni mehnat karna hai kay hamari namaz haqeeqat wali ban
    jaaye.
    FAZAIL: agar hamari namaz haqeeqat wali ban gayee to hum namaz kay zariye, Allah ki qudrat
    say barah e rast faiday uttha nay walay aur namaz kay zariye hum apni har zaroorat
    ko pura karnay walay ban jaayeingay, aisi namaz par Allah jallashanahu gunahon ko
    maaf karengay, rizq mein barkat deengay aur it’aat ki taufeeq bhi deengay.
    (namaz kay fazail ki hadees bolna - see fazail e namaz)
    MEHNAT:
    i) is haqeeqat wali namaz ko seekhnay kay liye ek to doosro ko khushoo aur khuzoo wali
    namaz ki dawat dena aur is mein duniya aur akhirat kay faiday samjhakar amaada karna hai, Huzoor (SAWS) aur Sahaba (R.A) kay namaz ko sunana.
    (see fazail e amaal mein hikayat sahaba mein sahaba kay namaz ke waqeaat - usko bolna)
    ii) doosra apni namaz ko accha karnay ki mashk karna hai-yaani ehtamaam say wazu karna,
    sar say lay kar pair tak Allah ki riza wali, maqsoos - tareeqay par pabandeoon kay saath ankhon ka, kaano ka , zabaan ka, hathon ka, pairon ka - istemaal theek karna, dil mein Allah ka khauf ho aur is baat ka yaqeen ho kay namaz mein Allah kay hukum kay mutabiq meri har harkat ho tasbeeh, ruku, sajda, saari kainath say ziyaada inamaat delanay wali hai, namaz mein ehtemaam say dhiyaan jama na hai, iskay liye qiyaam mein, qhaiday mein, ruku mein, sajday mein kum se kum 3 baar yeh soonchna kay meray Allah mujhay dekhrahay hai, agar hum is dhiyaan kay saath namaz padhengay ki meray Allah mujhay dekhrahay hai to namaz ki bahar wali zindagi mein bhi Allah ka dhiyaan naseeb hoga aur gunahoo say mehfooz rahengay.
    iii) Namaz ke khatam par yeh soonchna kay meri namaz Allah ke shaan kay mutabiq nahi huye is par rona aur dua maangna kay aye Allah hamari namaz mein haqeeqat paida farma.
    __________________________________________________ ___________________________
    3. ILM:
    MAQSAD:humko apnay ilm par itni mehnat karna hai kay hamaray andar tehqeeq ka jazba
    paida ho jaye kay is haal mein meray Allah mujh say kya chahtay hai aur har amal
    say pehlay Allah ka hukum aur Aap (SAWS) ka tareeqa maloom karnay walay ban
    jaaye aur zidagi ka koi shoba aisa nahi hai jisko Huzoor (SAWS) karkay dekhla na
    gaye ho ya phir apnay Sahaba (R.A) ko batla na gaye ho.
    FAZAIL: # jo aadmi deen seekhnay ke liye safar karta hai uska yeh safar ibaadat mein likha jata
    hai aur uskay liye sattar(70,000) hazaar farishtay pairon kay neechay par bicha
    daytay hai aur zameen aur asmaan ki saari maqlooq dua e maghfirat karti hai
    # shaitan par ek alim hazaar abidon say ziyaada bhaari hai.
    (see fazail e ilm in muntaqab hadees and fazail e amaal - aur hadees bolna)
    MEHNAT:
    i) apnay andar tehqeeq ka jazba paida karnay kay liye ek to doosro ko ilm kay fazail sunana yaani dawat dayna aur ilm hasil karnay ka shauq paida karnay ki koshish karna hai. Sahaba (R.A) kay waqeaat sunana kay kaisa Sahaba (R.A) ek hadees sekhnay kay liye duur ka safar kartay the (see hikayat shaba ilm seekhne ka jazba)
    ii) doosra khud taleem kay halqon mein baith kar ilm sekhnay ki mashk karna hai aur ulema ki khidmat mein haaziri dayna hai is yaqeen kay saath - kay yeh bhi ibaadat hai
    iii) teesra ro ro kar dua maangna kay aye Allah ilm ki haqeeqat say nawaazday
    __________________________________________________ ______________________________
    ZIKR:
    MAQSAD: hum ko zikr par itni mehnat karna hai kay hamaray andar Allah ka dhiyaan paida ho
    jaaye
    FAZAIL: jo aadmi Allah jallashanahu ko yaad karta hai Allah jallashanahu usko yaad kartay hai
    #jab tak aadmi kay hont Allah kay zikr mein haltay rehtay hai Allah taala uskay saath
    hotay hai # Allah ka zikr karnay par Allah taala apni mohabbat aur maarifat (pehchaan)
    ata farmatay hai #Allah ka zikr shaitaan say hifaazat ka zariya hai (see fazail e zikr)
    MEHNAT:
    i) apnay andar Allah ka dhiyaan paida karnay kay liye ek to doosoron ko Allah kay zikr karnay ki targheeb day kar amaada karna hai (sahaba ke waqeaat sunana)
    ii) doosra khud dhiyaan jama kar meray Allah mujhe dekh rahein hai kum say kum subah aur shaam, teen teen tasbeehaat ki pabandi karna hai -durood shareef, -isteghfaar, suwwam kalima aur quran shareef seekh kar rozaana kum say kum ek paaray ki telawat karna hai aur masnoon duaoon ka ehtemaam karna hai
    iii) teesra ro ro kar Allah say mangna hai kay aye Allah apna dhiyaan naseeb farma.
    __________________________________________________ ______________________________
    4. IKRAAM E MUSLIM:
    MAQSAD: hum ko ikraam e muslim par itni mehnat karna hai kay har musalmaan ka uskay
    imaan wala hoonay ki wajeh say ikraam karna hai aur har musalmaan ka ba-haiseyat Rasool SAWS kay ummati honay kay ikram karna hai aur har ummati kay aagay bich jaana hai aur har shaks kay huqooq ko ada kartay huye apnay huqooq ko maaf karna aajaye.
    FAZAIL: # jo aadmi musalmaan ki parda pooshi karega Allah jallashanahu uske aibon ki parda
    pooshi farmayengay
    # jab tak imaan wala apnay bhai kay kaam mein laga rehta hai Allah jallashanahu uskay kaam
    mein lagay rehtay hai
    # jo apnay haq ko maaf karega Allah jallahshanahu jannat kay beech mein mahal ata
    farmayengay
    # jo Allah kay liye doosron kay aagay zaleel hota hai Allah jallashsnahu usko rafat wa
    sarbulandi ata farmatay hai.
    MEHNAT:
    i) apnay andar ikraam paida karnay ke liye ek to doosron ko musalmaan ki qeemat batana hai kay (har imaan wala saato zameen aur saato asmaano aur jo kuch ismay hai ussay bhi bahut qeemti hai) ikraam ki targheeb dena hai, Huzoor Akram SAWS aur Sahaba (R.A) kay akhlaaq wa e’saar kay waqeaat ko sunana hai
    ii) doosra khud iski mashk karna hai (doosron ki khidmat karkay)
    iii) teesra ro ro kar Allah jallashanahu say Huzoor SAWS walay akhlaaq ko mangna hai.
    __________________________________________________ ___________________
    5. IKHLAAS E NIYYAT:
    MAQSAD: hum ko apni niyyat ko durust karnay par itni mehnat karna hai kay har amal mein
    sirf Allah ko razi karnay ka jazba paida ho jaye kisi amal say duniya ki talab aur apni
    haisiyat maqsood na ho.
    FAZAIL: # Allah ki riza kay jazbay kay saath thoda sa amal bhi bahut baday - baday inamaat
    dilanay wala hai aur iskay bagair bahut baday - baday amal giraft ka sabab banengay
    # ikhlaas say kiya hua ra’e kay danay kay barabar wala amal bhi qiyamat mein uhad
    ka pahaad say bhi bada ajar dilayega aur ikhlaas kay bagair agar uhad pahaad kay
    barabar bhi amal kareingay to woh ra’e kay danay kay barabar bhi ajar nahi delayega.
    MEHNAT:
    i) apni niyyat ko durust karnay kay liye ek to doosron ko dawat kay zariye niyyat ko sahi karnay ki fikar aur shauq paida karnay ki koshish karein
    ii) doosra apnay har amal say pehlay aur amal kay dauraan niyyat ko durust karnay ki mashk karna hai kay - mein yeh amal sirf Allah ko raazi karnay kay liye kar rahaa hoon
    iii) teesra - amal kay puray honay par apni niyyat ko naqis kharaar day kar tauba wa isteghfaar karna hai aur ro ro kar Allah say ikhlaas ki taufeeq mangna hai.
    __________________________________________________ ____________________
    6. DAWAT E IL’LAL’LAAH:
    MAQSAD: Huzoor Aqdas SAW ke khatm e nabuwwat kay tufail puri ummat ko dawat wali
    mehnat mili hai aur hum is mehnat ko itna karnay walay ban jaaye kay hamara
    apna aur Allah kay tamaam bandon ka taalluq Allah say ho jaaye.
    FAZAIL: # jo zameen waalo par raham karta hai asmaan waala us par raham karta hai
    # jo doosron ka taalluq Allah say joodnay kay liye imaan wa amaal e saleh ki mehnat
    karayga, Allah jallahshanahu sub say pehlay usko imaan wa amaal e saleh ki
    haqeeqat say nawaaz kar apna taalluq ata farmaengay
    # is rastay mein ek subah ya ek shaam ka nikal na puri duniya mein jo kuch maal hai aur jo kuch
    amaal ho rahay hai un sub say behtar hai
    # is mehnat mein maal ka kharch karna, Allah ka har zikr wa tasbeeh, har namaz ka sawab saath
    lakh (700000) guna bard jata hai
    # is mehnat ko karnay walon ki dua bani israeel kay ambiya alaihis-salaam ki tarah qubool hoti
    hai yaani jistarah unki duaoon par Allah jallashanahu nay zahir kay khilaaf apni khudrat ko
    istemaal farma kar unko kamiyaab farmaya batil ko toord diya usi tarah is mehnat walon ki
    duaoon par Allah jallahshanahu zahir ke khilaaf apni khudrat ka muzahera farmaengay
    # agar aalami buniyaad par mehnat ki jaaye to tamaam ahle aalam kay quluub mein is mehnat
    kay asar say Allah jallahshanahu tabdeeliyaan layengay.
    MEHNAT:
    i) deen kay doosray amal ki tarah hum nay yeh mehnat karnay nahi aaye is mehnat ko seekhnay ke liye ek to doosron ko is mehnat ki ahmiyat wa qeemat bata kar us mehnat kay karnay kay liye amaada karna hai
    ii) ambiya alaihis-salaam aur Sahaba (R.A) walay tarz par apni jaan wa maal ko qurbaan karna, hijrat wa nusrat walay amaal mein apnay-aap ko lagana hai aur jin mein mehnat karein unsay kisi cheese kay talib na bannay, har haal mein Allah kay raastay mein nikalnay ki mashk karna hai, jaisay kay Sahaba (R.A) Allah kay raastay mein nikalay - nikah kay waqt, rukhsati kay waqt, ghar mein wiladat kay waqt, wafaat kay maukhay par, sardi mein, garmi mein, bhook mein, fakhay mein, quwwat mein, zauf mein, jawaani mein, budhapay mein
    iii) teesra ro ro kar dua maangna kay aye Allah hamay is aa’li mehnat kay liye qubool farma

    Jazakallah


Similar Threads

  1. tabqat ibne saad(urdu) and usdul ghaba(urdu)
    By Propagating_Haq in forum General Islam
    Replies: 1
    Last Post: 04-01-2013, 09:03 AM
  2. Meaning ?
    By Absolute truth in forum General Islam
    Replies: 3
    Last Post: 29-05-2011, 04:51 PM
  3. Meaning...??
    By Proud2baMuslim in forum Islamic Parenting
    Replies: 0
    Last Post: 19-08-2007, 09:53 AM
  4. Urdu online dictionary & urdu font download?
    By Muaz bin jabal in forum General Islam
    Replies: 2
    Last Post: 25-07-2007, 11:54 AM

Tags for this Thread

Bookmarks

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •